Saturday, 10 September 2011

Galti huwi k usay jaan say b zyada


Ghalti hui k usey jaan say b ziyada chahne lage
*^""Faraz""^*
Kya pata tha meri itni wafa usey bewafa kar de gi.

Hamare baad nahi aayega tumhe chahat


Hamaray baad nai aaye ga tume chahat ka aisa Maza. 
"%Faraz%"
Tum logon say khud kehtay phiro gay "mujhay chaho us ki tarah...?

I Love YOU



I Love YOU
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
kahny me 3 sec lagty hn...
.
.
.
.
Explain karny me 3 Ghantay..
.
.
aur
.
.
Proof karny me Zindagi ka satyanas ho jaata hy:-)

wafa k naam ik dastan likh raha hon


GHAZAL
wafa k naam ik dastan likh raha hon,
mushkil lfzon ko asaan likh raha hn,
wafa ki talash me sara jahan likh raha hn
na mili wafa to lafz nakam likh raha hn,
nahi miltay ab dhondny se bhi wafa krny waly,
isi liye saary jahan ko bewafa likh raha hn
na karna pyar kabi zindagi me aye dost,
milti hai pyar me ruswai ye baar bar likh raha hn
q karty hain pyaar me itne waady log,
pyar me tootay hoe wady hazar likh raha hn


apni khushian luta kar us pe Qurban ho


Ghazal
apni khushian luta kar us pe Qurban ho jaon kash
kuch din us k shehar me mehman ho jaon,
wo apna nayab dil mujh ko de de or phir mange,
main mukar jaon or Be-Imaan ho jaon,
ab to mujhe itni Muhabbat ho gai hai us se k,
Khuda koi mojzaa kare or main us ki jaan ho jaon...